Rock You Baby Lyrics

Writer :

Singer :




Rock you baby, move your body
Feel the rythem everybody
Rock you baby, move your body
Feel the rythem everybody

It’s a mad mad mad mad world
It’s a mad mad mad mad world
It’s a mad mad mad mad world
It’s a mad mad mad mad world

Be-sur be-taal yeh gaana hai
Be-sur be-taal yeh gaana hai
Bas avein shor machaana hai
Rona hai andhe ke aage
Behre ko gaana sunaana hai
Yeh duniya paagal
Yeh duniya paagal khaana hai
Har banda yahaan sayaana hai
Yeh duniya paagal khaana hai
Har banda yahaan sayaana hai

Samajh samajh ke samajh ko samjho
Samajh samajhna bhi ek samajh hai
Samajh samajh ke jo na samjhe
Meri samajh mein woh naa-samajh hai

Life ka fanda hai ab ke maal hai to taal hai
Poochta hai kaun us ko saala jo kangaal hai
Bin money ke zindagaani jaan ka janjaal hai
Ho money to kaun pooche umr kitne saal hai
Mad mad mad mad world
It’s a mad mad mad mad world
Yaaron ne gasht manaana hai
Yaaron ne gasht manaana hai
Phokat ka maal uraana hai
Behkon ko ab behkaana hai
Choro, kyu panga paana hai
Yeh duniya paagal…
Yeh duniya paagal khaana hai
Har banda yahaan sayaana hai
Yeh duniya paagal khaana hai
Har banda yahaan sayaana hai

Sab ki mutthi mein muqaddar, sab sikandar hai yahaan
Tishnagi ki baat mat kar, sab samandar hain yahaan
Mastiyaa sab pe hain taari, sab qalandar hai yahaan
Kam nahi koi kisi se, sab dhulandar hain yahaan
Mad mad mad mad world
It’s a mad mad mad mad world

Maanega na koi maana hai
Maanega na koi maana hai
Sab ka andaaz puraana hai
Sach se parda sarkaana hai
Ek raaz naya batlaana hai
Yeh duniya paagal…
Yeh duniya paagal khaana hai
Har bandah yahaan seyaana hai
Yeh duniya paagal khaana hai
Har bandah yahaan sayaana hai

Mad mad mad mad world
It’s a mad mad mad mad world
It’s a mad mad mad mad world
Yeh duniya paagal khaana hai ji nigore.

Music Director Wise   Film Wise


How to use

In Junolyrics, This box contains the lyrics of Songs .If you like the lyrics, Please leave your comments and share here . Easily you can get the lyrics of the same movie. click here to find out more Lyrics.