Ankhiyaan Gulaabi Jaise Mad Ki Hain Lyrics

Writer :

Singer :




(ankhiyaan gulaabi jaisemad ki hain pyaaliyaan
mad ki hain pyaaliyaan
jaagi huyi aankhon mein
sharam ki hain laaliyaan
sharam ki hain laaliyaan) - 2

(din hain jawaani ke
ulfat ki raatein) - 2
(taaron ki chhaanv mein hain
pyaar bhari baatein) - 2
sulajhi huyi laton mein
ho ho ho
sulajhi huyi laton mein
ulajh gayin baaliyaan

ankhiyaan gulaabi jaise
mad ki hain pyaaliyaan
mad ki hain pyaaliyaan
jaagi huyi aankhon mein
sharam ki hain laaliyaan
sharam ki hain laaliyaan

(duniya meri aankhon mein hai
tere kayaal ki) - 2
(bhari huyi phuulon se hai
jholi sawaal ki) - 2
khili hain bahaaron mein
ho ho ho
khili hain bahaaron mein
phuulon ki daaliyaan

ankhiyaan gulaabi jaise
mad ki hain pyaaliyaan
mad ki hain pyaaliyaan
ljaagi huyi aankhon mein
sharam ki hain laaliyaan
sharam ki hain laaliyaan

(aadhi-aadhi raat koyi
kaahe jagaaye re) - 2
naazuk kalaayi mori
bal kha na jaaye re
aadhi-aadhi raat koyi
kaahe jagaaye re
sun-sun kush huye
ho ho ho
sun-sun kush huye
mithi-mithi gaaliyaan

ankhiyaan gulaabi jaise
mad ki hain pyaaliyaan
mad ki hain pyaaliyaan
jaagi huyi aankhon mein
sharam ki hain laaliyaan

Music Director Wise   Film Wise


How to use

In Junolyrics, This box contains the lyrics of Songs .If you like the lyrics, Please leave your comments and share here . Easily you can get the lyrics of the same movie. click here to find out more Lyrics.