Sutradhar Anu Malik Lyrics

Writer :

Singer :




ek tha scientist naam uska khuranathoda sa bhulakkad thoda sa pagla
pachhis saal se khoj raha tha deewana
budhe ko jawaan banane ka formula
aao chale dekhe yeh aankhon dekha haal
khurana ke formula ne kiya kaise kamaal
bas ek bund aur umra kam ho jaaye pachhis saal
badak ka ban gaya dekho anda kamaal
formula ka raaz jaante sirf khurana ke do hi khaas
ek secretary kavita dusra tota jo bolta zakkas
bolta tota aaisa khilauna tha jiska kaam khurana ko
sab kutch yaad dilana tha
par kavita aaisi secretary thi jo karne wali khurana se gaddari thi
khurana ki thi wish formula jaaye bharat sarkar ko
lekin kavita chali batane khurana ke judwe bhai underworld ke don ko
don ka bada beta baljit beimaan aur laalach mein tha
inse miliye don ki dusri paidaaish sunny
north indian ghar mein south indian dish
shak hamesha don ko khata tha
sunny uska beta nahi ho sakta yeh khayal aata tha
uski do number ki biwi marte hue shayad yeh chaah
rahi thi kehna ke sunny uske aur unke padosi subramaniam ki ek bhul ka hai gehna
baljit ne kiya baap se dhoka diya chinese gang ko formula kharidne ka mauka
chinese gang ne diya pachas carode advance aur teen din mein baljit ko formula dene ka chance

ab yeh formula jhooth fareb ko rakhte hain side mein aur love story ko lete hain mind mein
college mein padhta bhi aur canteen mein karta kaam
bilkul simple chokra karan uska naam
duniya mein akela ekdum lonely canteen wala murga toh wahi uska family
sirf sunny kya sara college tanya pe marta hain
karan bhi toh use chip chip ke pyar karta hain
is tarah hui dosti ki shuruwat karan ne chaha kutch aage kare baat
birthday ka bahana karke bulaya khane pe
tanya bhi raazi hui dinner ke liye aane pe
biryani banaya candle jalaya karan karne laga waiting
pant khareeda shirt laya tanya ne ki karan ki birthday shopping
bas milne hi wale the ab donon ke mann jab bitch mein aa gaye saare vilain
scientist ne dala formula tijori ke andar
phir tijori ka code bola tote ke bhitar
tab aaya baljit formula paane gaddari apne chacha pe jatane
baljit ko chakma deke scientist bhaga tota leke
tab aaya baljit ke samajh mein ke formula hain band tijori mein aur band tijori ka code hain bolte tote mein baljit ne sab ko saath khitcha aur kiya scientist
ka pitcha
tab padi scientist ki nazar tanya ke purse se giri hui chizo pe kutch reh gaya piche najdeek jaake dekha toh credit card tha tanya ka naam bhi likha tha neeche
aage jaake tanya ko hua yeh ehsaas
ek insaan hain pareshan jaau uske pass
soch ke aaisa tanya ne gadi u turn mein ghumaai
aur phir dekh saamne ka nazara woh buri tarah ghabrai
baljit ki bhi aankh ladki pe padi
samajh gaya woh galti ho gayi badi
ladki ne khoon karte hue dekh liya hain usko
pakadna padega abhi isse pehle ke woh bataye kisiko
wohi dekha credit card scientist ke haath mein
jaan gaya tota hain kisi tanya ke saath mein
ab pakadna padega do ladkiyon ko ek hi raat mein
jiske pass hain tota aur jisne dekh hain khoon hota
dekh ke tanya ki photo ko baljit ke deemag ki khul gayi khidki
jisne dekha khoon aur jiske pass hain tota woh ek hi hain ladki
darkar tanya gayi police station par waha pehle se hi baitha tha dushman
chupke chupke tanya ne suni inspector aur baljit ki baat
socha chodna padega usko apna ghar usi raat

intezaar karte karte thak gaya karan
par uske ghar nahi aayi tanya us raat
to karan aaya tanya ke ghar socha ke aaisi kya ho gayi baat
honi ke iss khel se karan tha anjaan pahuncha tanya
ke ghar par ho nahi saki usse mulakat
tanya apne bhai golu ko lekar nikal gayi raat ke andhkaar mein
chodke karan ki love story bitch majhdhaar mein
us raat ke baad karan ne bahut dhundha idhar udhar left right
kahi nahi mili tanya woh ho gayi out of sight
iss tarah lovers ke bitch mein ho gayi judaai

Music Director Wise   Film Wise


How to use

In Junolyrics, This box contains the lyrics of Songs .If you like the lyrics, Please leave your comments and share here . Easily you can get the lyrics of the same movie. click here to find out more Lyrics.