Zindagi Khwab Lyrics

Writer :

Singer :




Rangi ko naarangi kahe,
Bane dudh ka khoya
Chalati ko gaadi kahe,
Dekh kabira roya

Zindagi khwab hai,
Khwab men, jhooth hai kya
Aur bhala sach hai kya
Sab sach hai
Zindagi khwab hai

Dil ne ham se jo kaha,
Ham ne waisa hi kiya
Dil ne ham se jo kaha,
Ham ne waisa hi kiya
Phir kabhi furasat se sochenge,
Bura tha ya bhala
Zindagi khwab hai

Ek katara may ka jab,
Patthar ke honthon par pada
Ek katara may ka jab,
Patthar ke honthon par pada
Us ke seene men bhi dil dhadaka,
Ye us ne bhi kaha
Kya, zindagi khwaab hai,
Khwab men, jhooth hai kya
Aur bhala sach hai kya
Sab sach hai
Zindagi khwab hai

Ek pyaali bhar ke main ne,
Gham ke maare dil ko di
Ek pyaali bhar ke main ne,
Gham ke maare dil ko di
Zahar ne maara zahar ko,
Murde men phir jaan aa gai
Zindagi khwab hai,
Khwab men, jhooth hai kya
Aur bhala sach hai kya
Zindagi khwab hai,
Khwab men, jhooth hai kya
Aur bhala sach hai kya
Sab sach hai.

Music Director Wise   Film Wise


How to use

In Junolyrics, This box contains the lyrics of Songs .If you like the lyrics, Please leave your comments and share here . Easily you can get the lyrics of the same movie. click here to find out more Lyrics.