Aaj Kuch Aur Hi Lyrics

Writer :

Singer :




Zindagi ho gayi kitni hasi
Aarzu ab koi dil mein nahi
Jo bhi manga wo maine paya
Aaj kuch aur hi maza aaya
Aaj kuch aur hi maza aaya

Zindagi ho gayi kitni hasi
Aarzu ab koi dil mein nahi
Jo bhi manga wo maine paya
Aaj kuch aur hi maza aaya
Aaj kuch aur hi maza aaya
Maza aaya

Dekhte dekhte main hui kya se kya
Motiyo mein tuli meri har ek ada
Maine apne har jalwe ka
Uncha mol chukaya
Ab yaha koi bhi mujhsa nahi
Main dharu pauv to dhanke jami
Nagme bikhere mera saya
Aaj kuch aur hi maja aaya
Aaj kuch aur hi maja aaya
Maja aaya

Jo tassvur mila usko tasvir di
Apne har khwab ko
Maine tabir di
Jo bhi mere dil ne socha
Karke bhi dikhlaya
Kyu na main chum lu apni jabi
Aa gaya ab mujhe apna yaki
Maine kismat ka sar jhukaya
Aaj kuch aur hi maza aaya
Aaj kuch aur hi maza aaya
Zindagi ho gayi kitni hasi
Aarzu ab koi dil mein nahi
Jo bhi manga maine paya
Aaj kuch aur hi maja aaya
Aaj kuch aur hi maja aaya
Aaj kuch aur hi maja aaya
Aaj kuch aur hi maja aaya.

Music Director Wise   Film Wise


How to use

In Junolyrics, This box contains the lyrics of Songs .If you like the lyrics, Please leave your comments and share here . Easily you can get the lyrics of the same movie. click here to find out more Lyrics.