In Haathon Se Sabki Gaadi Lyrics

Writer :

Singer :




Aji sun o sardaaraa, ki haal hai?  Vadiyaa vadiyaa
In haathon se sabki gaadi chal rahi hai vaah vaah
In haathon se sabki gaadi chal rahi hai vaah vaah
Haath laa ustaad, kyun kaisi kahi hai vaah vaah
Haath laa ustaad, kyun kaisi kahi hai vaah vaah

In haathon se sabki gaadi chal rahi hai vaah vaah
Vaah, arrey vaah, arrey vaah vaah vaah vaah
Ik din ki hai baat raah mein ham jaate the hmmmmmm
Gaadi bigadi hai log ye chillaate the hmmmmmm
Ik din ki hai baat raah mein ham jaate the
Gaadi bigadi hai log ye chillaate the
Jaa kar dekhaa yaar, rotaa thaa dilip kumaar
Arrey kambakht, gaadi ko bhi yahin puncture honaa thaa, hmmm

Ham pahunche to saari aafat tal gayee vaah vaah
In haathon se sabki gaadi chal rahi hai vaah vaah
Vaah, arrey vaah, arrey vaah vaah vaah vaah
Pon pon motar car jis ghadi chhan-chhan chhanke
Bole apne haath raah mein horn ban ke
Pon pon motar car jis ghadi chhan-chhan chhanke
Bole apne haath raah mein horn ban ke
Pyaare hat jaanaa, neeche na kat jaanaa, pyaare hat jaanaa
Pyaare hat jaanaa, neeche na kat jaanaa

Kitnon ki girti pagdi sambhal gayee vaah vaah
In haathon se sabki gaadi chal rahi hai vaah vaah
Haath laa ustaad, kyun kaisi kahi hai vaah vaah
In haathon se sabki gaadi chal rahi hai vaah vaah
Vaah, arrey vaah, arrey vaah vaah vaah vaah, vaah vaah vaah
Ye ruk jaate to saare dhandhe ruk jaate aay haay haay haay
Ghar se daftar tak seth kaise jaa paate
Ye ruk jaate to saare dhandhe ruk jaate
Ghar se daftar tak seth kaise jaa paate
Shaaraa kaarobaar ho jaataa bantaadhaar

Arrey maaro shaaro kaarobaar ho gayo re bantaadhaar hun
Ye samjho inse ye duniyaa chal gayeevaah vaah
In haathon se sabki gaadi chal rahi hai vaah vaah
In haathon se sabki gaadi chal rahi hai vaah vaah
Haath laa ustaad, kyun kaisi kahi hai vaah vaah
In haathon se sabki gaadi chal rahi hai vaah vaah.

Music Director Wise   Film Wise


How to use

In Junolyrics, This box contains the lyrics of Songs .If you like the lyrics, Please leave your comments and share here . Easily you can get the lyrics of the same movie. click here to find out more Lyrics.