Waqt Waqt Ki Baat Lyrics

Writer :

Singer :




Hahahaha

Kal tak main akelaa thaa
Aaj zamaanaa saath hai
Waqt waqt ki baat hai
Samajhe naa
Waqt waqt ki baat hai
Kal tak main akelaa thaa
Aaj zamaanaa saath hai
Waqt waqt ki baat hai
Waqt waqt ki baat hai

Jab itnaa mashoor naa thaa yaaron meraa naam
Tab paani naa miltaa thaa ab milte hain jaam
Kal ye raat andheri thi
Aaj suhaani raat hai
He waqt waqt ki baat hai
Waqt waqt ki baat hai

Sunkar meri baaton ko hai duniyaa hairaan
Dekhte rah gaye sab maine maar liyaa maidaan
Kal dil mein veeraani thi
Aaj magar baaraat hai
He waqt waqt ki baat hai
Waqt waqt ki baat hai

Aaj tu jaanegi mujhko ai mere mahboob
Bholaa bhaalaa hoon lekin aadmi hoon main khoob
Kal thaa jis kaa intezaar aaj wo mulaaqaat hai
He waqt waqt ki baat hai
Waqt waqt ki baat hai
Kal tak main akelaa thaa
Aaj zamaanaa saath hai
He waqt waqt ki baat hai
Waqt waqt ki baat hai.


Music Director Wise   Film Wise


How to use

In Junolyrics, This box contains the lyrics of Songs .If you like the lyrics, Please leave your comments and share here . Easily you can get the lyrics of the same movie. click here to find out more Lyrics.