Aaye Woh Phoolon Ke Rath Par Lyrics

Writer :

Singer :

Aaye woh phulon ke rath par, padi rahu main piya ke path par

Mann hi mann mein ang lagaau, dur khadi sharmaau main

Aaye woh phulon ke rath par

Tujhi se jyot jale jivan ki, ek hi abhilaasha hai mann ki
Tujhi se jyot jale jivan ki
Tujhi se milan ho chaahe milan ki raat ko marr jaau main
Aaye woh phulon ke rath par, padi rahu main piya ke path par
Aaye woh phulon ke rath par

Mehnge nahi tum sabke badale, le lu tumhe main toh rab ke badle

Tum anmol tumhe kya dekar prem kya mol chukaau main
Aaye woh phulon ke rath par, padi rahu main piya ke path par
Aaye woh phulon ke rath par

Jal jaayungi pi ki lagan mein
Jal jaayungi pi ki lagan mein,  jaise chakori chanda ki angan mein
Raakh male jab mera jogi ang se lag jaau main
Aaye woh phulon ke rath par, padi rahu main piya ke path par
Mann hi mann mein ang lagaau, dur khadi sharmaau main
Aaye woh phulon ke rath par, padi rahu main piya ke path par
Aaye woh phulon ke rath par.

Music Director Wise   Film Wise

How to use

In Junolyrics, This box contains the lyrics of Songs .If you like the lyrics, Please leave your comments and share here . Easily you can get the lyrics of the same movie. click here to find out more Lyrics.