Ek Machhar Lyrics

Writer :

Singer :




Ek machhar, ek machhar sala aadami ko ijada bana deta hai
Ek khatmal puri rat ko apahij kar deta hai
Ek machhar sala aadami ko ijada bana deta hai
Mat aao mere pas rahne do mujhe akela
Ladne do mujhe apni ladayi kabhi na kabhi to jhut ka
Gala ghotegi sachayi,
Lekin sala ek machhar aadami ko ijada bana deta hai
Subha ghar se niklo bhid ka ek hisa bano
Sham ko ghar jao, daru pio, bache paida karo
Aur subha talak phir ek bar mar jao
Kyoki aatma aur andar ka insan mar chuka hai
Jine ke ghinone samjhote kar chuka hai
Sala ek machhar aadami ko ijada bana deta hai

Uchi dukan fika pakwan khaddar ki langoti
Chandi ka pikdan so me se assi baiman phir
Bhi mera desh mahan

Topi lagaye machhar kahta hai
Desh ke logo me samta ki bhawana aa rahi hai
Isiliye to badi machhali chhoti ko kha rahi hai
Hamare chune huye kute, hume hi kate hai
Humare hisse ki rotiya apas me batate hai
Human us gand se bhari unki aawaj se nange raste kapte hai
Kal peda huye bache, ek saans lete huye hapte hai
Saitano ki najayaj aolad tahalkha macha rahi hai
Aur hum hum bhagwan ke chahite janwar insan
Zindagi ko gali banaye bethe hai kya kare, sala
Sala ek machhar aadami ko ijada bana deta hai

Giro salo giro giro giro lekin giro to
Us jharne ki tarha jo parwat ki uchai se
Gir ke bhi  apni sundarta khone nahi deta
Zamin ke tah se milke bhi apne astitav ko nasht nahi deta
Lekin itana sochane ke liye waqt hai kiske pas, kyoki
Sala ek machhar aadami ko ijada bana deta hai

Mandir, masjid ki ladayi me mar gaye lakho insan
Dharam aur mjhab ke naam par ho gaye hajaro kurban
Jis ne anyay ke virodh me bali ko mara, rawan ko mot ke ghat utara
Punya ko paap se ubhara, mujhe us ram ki talash hai magar
Lagta hai is yug ke ram ko aajivan vanvas hai, kya kare
Kyoki, sala ek machhar aadami ko ijada bana deta hai

Ye machhar, ye machhar, jiska kichado me ghar hai
Naliyo me basera hai, iski pehchan ye hai ke ye na tera hai na mera hai
Ye machhar ijada bana dega, ijada bana dega
Kabhi saitan aayenge, mere darwaje par dastak denge
Jahan ki talashi lege, phir jal uthenge, us waqt mai daruga nahi
Apne sharir ko dhal, hath ko talwar banaunga, ek na ek din to
Tum mera hath chumoge, karo, aaj mujhe badnaam karo nilam karo
Nilami ke liye kya hai mere pas, bas jalte huye aansuo ka aeshas
Magar, magar main tumse badala luga, tumhari aakhiri boli par
Mere do saanso ke bich ka thaherav tumhe fokat me duga, kyoki salo ek machhar
Ne tumhe ijada bana diya hai.

Music Director Wise   Film Wise


How to use

In Junolyrics, This box contains the lyrics of Songs .If you like the lyrics, Please leave your comments and share here . Easily you can get the lyrics of the same movie. click here to find out more Lyrics.