Main Gham Se Lyrics

Writer :

Singer :




Main gham se nibha kar ji lunga
Har dard chhupa kar ji lunga
Tum shad raho aabad raho
Tum shad raho aabad raho
Main gham se nibha kar ji lunga
Har dard chhupa kar ji lunga

Ha hatho mein tumhare shaguno ki
Kya khub sazi hai ye mehandi
Hatho mein tumhare shaguno ki
Kya khub sazi hai ye mehandi
Kya khub sazi hai ye mehandi
Main apne lahu ke chhinto se
Main apne lahu ke chhinto se
Daman ko saza kar ji lunga
Tum shad raho aabad raho
Tum shad raho aabad raho
Main gham se nibha kar ji lunga
Har dard chhupa kar ji lunga

Mujhko hi khushi na raas aayi
Ho tumko mubarak shehnayi
Mujhko hi khushi na raas aayi
Ho tumko mubarak shehnayi
Ho tumko mubarak shehnayi
Main khwab samajh kar bite huye
Main khwab samajh kar bite huye
Lamho ko bhula kar ji lunga
Tum shad raho aabad raho
Tum shad raho aabad raho
Main gham se nibha kar ji lunga
Har dard chhupa kar ji lunga

Tum leke sahara yaado ka
Ashqo ko paresha mat karna
Tum leke sahara yaado ka
Ashqo ko paresha mat karna
Ashqo ko paresha mat karna
Main jalti sulagti yaado ko
Main jalti sulagti yaado ko
Main sine se laga kar ji lunga
Tum shad raho aabad raho
Tum shad raho aabad raho
Main gham se nibha kar ji lunga
Har dard chhupa kar ji lunga.

Music Director Wise   Film Wise


How to use

In Junolyrics, This box contains the lyrics of Songs .If you like the lyrics, Please leave your comments and share here . Easily you can get the lyrics of the same movie. click here to find out more Lyrics.