Main Khoya Lyrics

Writer :

Singer :




(main khoya main khoya hua aawara
na dost na sahara
duniya ke bhanvar mein
dhundata kinara - 3) - 2

khabar nahi ki kaha hu main
yeh jagah hain kya jis jagah hu main
simti si hain galiyan kyun
har mod pe hain sannata kyun - 2
main khoya
main khoya hua aawara
na dost na sahara
duniya ke bhanvar mein
dhundata kinara - 3
main khoya

soch raha hu main hu kya
saanson mein chaya kyun hain dhuan
dil mein uthe chingari kyun
kaheen main toh nahi hu koi shama - 2
main khoya
main khoya hua aawara
na dost na sahara
duniya ke bhanvar mein
dhundata kinara - 3
main khoya

suraj ki nayi kirnon se
dhundh ki partein hatt bhi gayi
uljhan ki badli chatt gayi
timtimaya - 2 ektara
main khoya tha
main khoya tha aawara
hain dost aur sahara
duniya ke bhanvar mein
paa liya kinara
mil gaya kinara
paa liya kinara
main khoya tha

jo bhi dhul ki chadar odhen
makhmal se jo nata toden
mitti se jo paida hua
mitti se khud ko joden
gar aaisa koi koi ho toh
naache naache naache
naache aalam yeh sara - 2
main khoya tha
main khoya tha aawara
hain dost aur sahara
duniya ke bhanvar mein
paa liya kinara
mil gaya kinara
paa liya kinara
main khoya tha

dil ki khushi zehan ka sukun
agar dost hain tumhare
toh jholi mein khazane ka
hoga tumhein hoga haseen nazara
main khoya tha
main khoya tha aawara
hain dost aur sahara
duniya ke bhanvar mein
paa liya kinara
mil gaya kinara
ho paa liya kinara
ho mil gaya kinara

Music Director Wise   Film Wise


How to use

In Junolyrics, This box contains the lyrics of Songs .If you like the lyrics, Please leave your comments and share here . Easily you can get the lyrics of the same movie. click here to find out more Lyrics.