Chuimui Si Zindgai Lyrics

Writer :

Singer :




Chuimui si zindagi simat ke khawab ban gayi
Tamam umar ki khushi yaha waha bikhar gayi
Aaj jo mile shamma bhi hai bahar bhi
Is khushi ka tha sabhi ko intzar bhi
Mai hu zameen pe aasma pe mera dil deewana
Aaha ye pyar aaha khumar aaha bahar aaha
Aaha ye pyar aaha

Mara piya aawe bijli si chamke
Hiwado bhigowe badli si barse
Aari ya chundar tara si badke
Payal ya chhanke chudi khanke
Shabnami hansi cheharo pe
Aaj khilkhilati har nazar me aaj
Shararat khul ke muskarati
Dil thamta hi nahi aisi ek bat huyi
Jaise bin badal ke kahi barsat huyi
Ab se kabhi bhi na koi yu nazar jhukayega
Ab se kabhi bhi na koi yu nazar jhukayega
Mil gaye hai ab na hume koi rok payega
Ab se kabhi bhi na koi yu nazar jhukayega
Rat hanseen sath hanseen ye khushi ki bat hanseen
Ye falsafa hai zindagi ka kya thikana
Ye pyar aaha

Mastani hu hey mastani hu masatni
Phulo se maheku mai panchhi si chahku mai
Barkha si barsu mai, purwah si bahku mai
Nigahe chumti dilo me shor hai
Nashe me jhumta ye shama hi aur hai
Mujhe sambhalana na hosh kho du jane jana
Aaha ye pyar aaha khumar aaha, bahar aaha
Aaha, ye pyar aaha
Chuimui si zindagi simat ke khawab ban gayi
Tamam umar ki khushi yaha waha bikhar gayi
Aaj jo mile shama bhi hai bahar bhi
Is khushi ka tha sabhi ko intzar bhi
Mai hu zameen pe aasma pe mera dil deewana
Aaha ye pyar aaha khumar aaha bahar aaha
Aaha ye pyar aaha.

Music Director Wise   Film Wise


How to use

In Junolyrics, This box contains the lyrics of Songs .If you like the lyrics, Please leave your comments and share here . Easily you can get the lyrics of the same movie. click here to find out more Lyrics.